Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko; H…
Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko;
Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi!
Shayari directy from Hearts
Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko;
Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi!
Hum Fakeeron Se Dosti Kar Lo;
Gur Sikhaa Dain Ge Badshaahi Ke!
Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!
Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti;
Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!
Unhe Yeh Khauf Ki Har Baat Mujhse Kar Daali;
Mujhe Ye Weham Koi Khaas Baat Baaki Hai!
Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata;
Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata!
Mere Kuch Dost Mujhe Yoon Bhi Sataane Aaye;
Khud Mujhe Mera Hi Afsaana Sunaane Aaye;
Din Ke Dhalte Hue Lamhon Ki Kiran Wo Lekar;
Mere Tareek-E-Muqaddar Ko Jagaane Aaye!
Daulat Aur Sohrat sabke Pas Hai,
Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai,
Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai,
Par Khush-naseeb Hai Hum kyonki Tum Jaisa Dost Hamare Pas hai
Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab;
Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain!
Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin;
Doston Ki Wafaa Se Darte Hain!