March 4, 2018, 7NVADMIN Ghazal Collection, , 0
Kho gayi hu Mai kahiin khud se hi bichharh gayi hu,
Teri yaado me kitni Mai ho Bebass gayi hu.
Tu kho gaya, haatho se ret ki tarah phisal gaya hai,
Khwaab sa aakho se jaise ojhal ho gaya hai.
Har shaam khirhki pe jo tha mujhe wohi intezaar dede
Jee lu ek baar phir, meri zindgi ko wo aasaar dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede..
Tere jaane se kitni ho gayi hu adhoori,
Pal pal saanso ko tarsaati hai yeh doori.
Aakho se behte ashqo pe mera koi qaabu nahi hai,
Akho me tera chehra aur saanso me jo teri khushboo nahi hai.
Aaj ek baar phir mujhe khud pe meraa ikhtiyaar dede.
Raato ko chain ki neend phir ek baar dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede…
Ye kya ajeeb maqaam aa gaya hai zindgi me,
Ek ek lamha beet raha hai ek ek sadi mai.
Na raunak is bheed me rahi na in rangeen mehfilo me,
Beete kal ki yaade reh gayi hain un shikwo un gilo me.
Jeelu mai bhi zara, zindgi ka mujhko itna adhikaar dede.
Sukoon chahta hai ye dil ye rotaa hai zaar zaar, dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede…
Na kaajal na rangeen aanchal kitni sooni si ho gayi hu mai,
Na alfaaz na awaz kitni khali si ho gayi hu mai.
Na zulfo ki khabar kitni uljhi uljhi rehti hain
Rote rote ye aakhen kitni sooji sooji rehti hain
Miltaa nahi jo ab, khushnumaa mera wo sansaar dede
Sanwar jaau mai bhi zara vapis mujhe mera shringaar dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede..
Pukaarti hu chillaati hu per sunaai deti hai bas tanhaaiya
Waqt ke har peher me jab nazar aati hai teri bewafaaaiya
Dhoondti hu tumhe darbadar per tum nahi kahiin milte
Mere is banjar biyaanbaan me kyu kabhi phool nahi khilte
Jeene ki mujhe koi to wajah koi to aadhaar dede
Meri zindgi ko wo fizaa wo bahaar dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede…
#maryamShayerana
Laut aao paas mere, mere dil ki khwaahish yehii hai
Isi dil me rehte ho tum ae diwaane teri rihaaish yehi hai
Mai aaj bhi wohi deewani hu teri zara bhi badli nahi hu
Humari wo baate, haseen mulakaate mai bhooli nahi hu.
Baahon me bhar ke mujhe phir se pyaar ka khumaar dede
Choom k aakhon ko in me phir sapne hazaar dede
Khoyaa hua mujhe mera wo pehla pyaar dede…
Mohobbat me kyu itne dard tu bewajah de gaya
Khata bhi na bataayi aur kaisi ye sazaa de gaya..
Saath ho to nahi tum phir kyu yaado me aake apna kar jate ho
Dil me rehte b tum ho tumhi ise itnaa tadpaate ho
Apni chaahato ki baarish hum pe bhi beshumaar dede
Ya door jaake is dil se ise thodaa qaraar dede
Khoya hua mujhe mera wo pehla pyaar dede…
mquraysh32@gmail.com
Kitaabon ke pannon ko palat ke sochta hun,
Yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai.
Khwaabon mein jo roz-roz milti hai,
Haqeekat me mil jaaye, to kya baat hai,
Matlab ke liye to sab dhoondte hain mujhko
Bin matlab ke jo paas aaye koi to kya baat hai
Qatl karke to sab le jaayenge dil mera,
Koi baaton se le jaaye to kya baat hai.
Zinda rehne tak khushi doonga sabko,
Kisi ko meri maut se khushi mil jaye to kya bat hai