December 28, 2018, Zia user-submitted-shayari, Zindagi Shayari, , 0
Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Lie Watan
Khawabon Ka Gulsitan Hai Tu ,Armanon Ka Chaman
Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Lie Watan
Parbat Himaala Azm ka Parcham kahein Jise
Gang-O-Jaman Hain Pyaar Ka Sangam Kahein Jise
Jharnon Se Phoote Hai Naee Ummeed Ki Kiran
Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Lie Watan
Gautam Raheem Naanak Aur Chisti-O-Kabeer
Paighaam Laaye Pyaar Muhabbat Ka Sab Faqeer
Insaaniat Se Mahka hai Yoon Hind Ka Chaman
Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Lie Watan
Badhne Naa Paaye Hindu-Musalman Mein Faasle
Sab Aik Hain Jawaan Hain Abhi Apne Hausle
Hum Aik Hain Hum Aik Hain Goonje Wahi Sada
Apne Watan Pe Kar Denge Hum Jaan-O-Tan Fida
Apne Saron Se Baandhke Nikle Hain Hum Kafan
Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Lie Watan
Rekhta Pataulvi, Patauli (Bhopa) Muzaffarnagar.
Best deshbakti Shayri, independance day shayri, Patriotic Shari, Rebuplic day, Rekhta, Rekhta Bhopa, Rekhta Muzaffarnagar, Rekhta Patolvi, shayri, Shero Shayri